Anjeer Milk Shake Recipe With Hash Huma Choudhary

 

Anjeer Milk Shake Recipe

Benefits of figs(anjeer)shake



ALLAH TA’ALA ne QURA’AN PAAK men figs(anjeer) ke beinteha faide likhe hen

  1. Figs(anjeer) dil ke marizon ke liye boht mufeed he.
  2. Figs(anjeer) sugar ke marizon ke liye mufeed he.
  3. Figs(anjeer) cholestrol kam karta he.canser se bachata he. high blood pressure ko control karta he.figs(anjeer) haddiyon ke liye be had mufeed he.

Benefits of milk

HAMARE PYARE NABI S.A.W.W gay ke doodh ko pasand farmate thay.aur doodh ko amraz men shifa ka ba’as qarar dete thay.

  1. Gay ke doodh se elaj kiya karo qk ye darakhton par charti hen.doodh calcium se bharpoor hota he.haddiyon aur daanton ko mazboot karta he.
  2. Doodh men mojood chiknai body ke liye faide mand hoti he.doodh pine se aisab aur patthe mazboot hote hen.doodh ka istemal hamesha sehat mand aur jawan rakhta he.
  3. Doodh pine se rang saaf hota he.dimagh tez hota he aur binai tez hoti he.

Ab aap hi bataeyn ke in dono cheezon ke jab itne faide hen to jab ye dono cheezen aapas men milengi to kitne faide honge.figs(anjeer)shake is full of energy and healthful.

My YouTube Channel Videos Please Subscribe My Channel Cooking Recipes Pakistanis with Hash Huma Choudhary 

Ingredients

Figs(anjeer)  =   6 se 7 daane

Doodh  =  2 glass

Cheeni  =  hasb-e-zaiqa

Method

Figs(anjeer) ko doodh men ubaal len aur 10 se 15 mint tak paka len.doodh thanda hone tak ke liye chorh den.jab doodh thanda ho jaey to cheeni daal kar figs(anjeer) ke sath grind kar len.health full figs(anjeer)shake tayyar he.





Huma Chaudhary

When it comes to eating, researchers, the media, and policy makers mainly focus on negative aspects of eating behavior, like restricting certain foods, counting calories, and dieting. Likewise, health intervention efforts, including primary prevention campaigns, typically encourage consumers to trade off the expected enjoyment of hedonic and comfort foods against health benefits1.

Post a Comment

Previous Post Next Post